Monday, April 1, 2019

Ibadat karo


Hei duniya ke logon oonchi aawaj karon
Gawon khushi key geet
Uska gungaan karo

Ibadat karo uski Ibadat karo


Yaad karo ki vahi ek Khuda hein
Hum ko ye jeevan useene diya hein
Us charagah se hum sab hein aaye
Humd o sana ke hum geet gaaye
Rab ka tum shukar karo
Oonchi aawaj karo
Gawon khushi key geet
Uska gungaan karo                                  
||Ibadat karo||

Naamey Khudawand kitna mubaarak
Mera Khudawand kitna bhala hein
Rehmat hei uski sadiyon purani
Wafa ka azar se yahi silsila hein
Uspar eeman dharo, uske ghar aap chalo
Gawon khushi key geet
Uska gungaan karo                                   ||
Ibadat karo||

No comments:

Post a Comment