Mera Yeshu hai kitna mahan
Uske jaisa koi hai kaha
Uske charano me sajdha karu
Wo he tho hai mera khuda (2)
Hallelujah Hallelujah Hallelujah (2)
Tune banayi dharthi aasman
Aapne ek shabd dhwara
Tune sajayi hai chaaro aur disha
Aapne saamarth ke dhwara (2)
Kya hai insaan jo tu usse yaad kare
Kya hai insaan jo tu usse pyaar kare (2) ||Mera Yeshu||
Tu hai pavitra Yahowa Elshadai
Tu hai shalom Yahowa Adonai
Teri icha se tufaan uthe
Teri agya se aandhi tham jaye (2)
Kya hai insaan jo tu usse yaad kare
Kya hai insaan jo tu usse pyaar kare (2) ||Mera Yeshu||
No comments:
Post a Comment