Aye Masiha Tera Aasara mil gaya (2)
Meri kashti ko ik Nakhuda mil gaya (2)
Maine duniya ki Har shay mein dhoondaTujhe (3)
Par Tu dil mein mere Hi basaa mil gaya (2) ||Aye Masiha Tera||
Meri raahon ko Tune Ujaala diya (3)
Khoyi manzil ka mujhko Pataa mil gaya (2) ||Aye Masiha Tera||
Khauf ab mujhko to Maut ka bhi nahin (3)
Tu mujhe humsafar Rahnuma mil gaya (2) ||Aye Masiha Tera||
No comments:
Post a Comment