Jai Jai Naam Yeshu Naam
Gaoon mein subhoshaam (2)
Balheen ka sahaara
Paapiyon ka dost hai Tu
Yeshu Tu hai kitna pyaara
Shabd na kaise bataoon (2) || Jai Jai Naam||
Tujh mein bana rahoon to,
Amrut phal laoon main
Gaoon teri jai sadaa to
Tujh sa ban jaoon main (2) || Jai Jai Naam||
Tu hi hai jo mujhko bulaata
Deta hai jeevan jal
Teri shakti paaoon sadaa aur
Yojanaaye safal ho jaaye (2) || Jai Jai Naam||
No comments:
Post a Comment