Mere chote hriday se Mere mahaan prabhu ki Aaraadhna karu
Tute huve kund ko mere kumbhar ke paas laakar
theek karne ki vinthi karu [2]
Hosanna.... Hosanna.... yahudiyo ke raja ko
Hosanna.... Hosanna.... aanewale raja ko
Mitti se banaya gaya hu
Fir mitti me jaa milu [2]
Mujh mitti ko mahima me badalne
Tere mahima ko tyaag diya [2]
Hosanna.... Hosanna.... yahudiyo ke raja ko
Hosanna.... Hosanna.... aanewale raja ko [2]
Kadam ladkadaathe samay me
Tere krupa sambhaala mujhe [2]
Mere kadam sidh karke tere seva me
Krupa se chalaya mujhe [2]
Hosanna.... Hosanna.... yahudiyo ke raja ko
Hosanna.... Hosanna.... aanewale raja ko [2]
Is sansaar ki yathra me
Mere jeevan ki sapna he [2]
Mere anthim shwaas jaane tak
Tere naam ko prakashith karu [2]
Hosanna... Hosanna... Hosanna... Hosanna... [4]
Hosanna.... Hosanna.... yahudiyo ke raja ko
Hosanna.... Hosanna.... aanewale raja ko [2]
No comments:
Post a Comment